Monday, November 26, 2007

Khamoshi

Labon pe ho muskaan, toh sharmati hui ye khamoshi
Palke jhuki ho toh, haya ki hai ye khamoshi
Aankhon mein taare chamke toh khushi ki hai ye khamoshi
Chere pe aakrosh ho toh, gusse ki hai ye khamoshi
Nam hain ye naine toh dukh ki hai ye khamoshi
Ajeeb hai ye khamoshi...

Ek anjaane se mulaqqat toh darr ki ye khamoshi
Phir mulaqqaton ki baarat toh dhadhakte dil ki ye khamoshi
Dil mein hai pyar toh chahat ki hai khamoshi
Apna hai koi juda toh dard ki hai ye khamoshi
Rutha hai koi toh manane ke intezaar mein khamoshi
Toda ho vishwaas toh jasbaaton ki hai khamoshi
Ajeeb hai ye khamoshi...

Kehte hain, khamoshi mein hi jhalakte hai ye saare ehsaas...
Toh ajeeb haina ye khamoshi...

Saturday, November 17, 2007

Chanda aur Chandni

Pyaar ke do nagme...Chanda aur Chandni...
Chanda ne ek roz chandni se pucha...
Tum hamesha mere saath kyu rehti ho?
Chandni ko ye sun ke accha nai laga...kyunki chandni chanda se bahaut pyar karti thi
Toh chandni ruth ke boli.....
Agar tum in taaron mein apni roshni dhundh lo toh kalse mein tumhare saath nai aayungi...
Chanda muskurake bola...
Taare toh roshni de denge, magar chandni ki chamak kaha se aayegi...
Taare rasta toh dikha denge par chandni ki chahat kaha se laayenge...
Taare toh daag chod jaayenge, par is chand pe daag toh chandni hi dho paayegi...!!!