Labon pe ho muskaan, toh sharmati hui ye khamoshi
Palke jhuki ho toh, haya ki hai ye khamoshi
Aankhon mein taare chamke toh khushi ki hai ye khamoshi
Chere pe aakrosh ho toh, gusse ki hai ye khamoshi
Nam hain ye naine toh dukh ki hai ye khamoshi
Ajeeb hai ye khamoshi...
Ek anjaane se mulaqqat toh darr ki ye khamoshi
Phir mulaqqaton ki baarat toh dhadhakte dil ki ye khamoshi
Dil mein hai pyar toh chahat ki hai khamoshi
Apna hai koi juda toh dard ki hai ye khamoshi
Rutha hai koi toh manane ke intezaar mein khamoshi
Toda ho vishwaas toh jasbaaton ki hai khamoshi
Ajeeb hai ye khamoshi...
Kehte hain, khamoshi mein hi jhalakte hai ye saare ehsaas...
Toh ajeeb haina ye khamoshi...
2 comments:
agar kushi ki hai yeh khamoshi
agar jasbaaton ki hai yeh khamoshi
agar dard ki hai yeh khamoshi
agar chaahat ki hai yeh khamoshi
agar darr ki hai yeh khamoshi
toh 'ajeeb' kaisi hai yeh khamoshi?
anjaani aur ajeeb nai hai yeh khamoshi
pehchaani aur basi apni man mein
hai yeh khamoshi
keh lijiye ki apna apna nazariya hi hai bas:)
pehchaani aur apne man mein basi hone ke bavwajood, khamoshi ajeeb ho sakti hai!!
Post a Comment